Pages

Sunday, 25 April 2010

Meri zindegi ki daastaan

Pata tha lehrein baha legi mere ret ke gharko
Pata tha tez hawa ke jhokein udda legi mere patton ke mahal ko
Baar baaar bikhra
Phir bhi mein inn sab ko banataa chala gaya
Jab meri zindegi ek pahar se nikal ne lagi
Jab pattharr mere bahaow ko rokne lagi
Sare nata todd..
Samandar ke sapnein dil mein liye mein behta chala gaya
Indra dhanush ki madhur AWAZ..
Rangeen lage mujhe koyal ke kuhu naad..
Usne mujhe pagal kaha aur...
Mein Umr bhar ush pagal pan ko nibhata chala gaya...
Phir sham dhal ne lagi
Sari duniya bemane lag ne lagi
Aur...
Mein ek anjane safar ke liye tayar ho gaya
Bas inhi kuchh laffzon mein meri zindegi k dastaan pooora ho gaya...

No comments:

Post a Comment